Posts

Showing posts from December, 2015

Home SPEAK Home [ maine ghar ni jaana ]

Image
Home Speak Home  (Maine Ghar Ni Jaana) Anant Gaur The Home//// The house is divided into two areas, park and house This house is a L shaped area, while park is just next to the house . The Voice: Aksar, humne insaano ki jung dekhi hai, kabhi sarhadon ko lekar to kabhi dharm ko lekr. kabhi bhasha(language) ko lekr aur agar ladne ka koi bahana nahi milta to bas Yun hi baat be-baat bewajah ek dusre ka mazak udate hue ladd padte hain. chalo fir bhi insaano ke paas to bolne ke liye awaaz hai, vo apas mein ladd jhagad kar apne aap ko shaant kar lete hain. Sochiye agar yeh bezubaan ped-paudhe, prakritik jeev jantu aur nirjiv vastuyein jaise Ainaa(mirror), Mez(table), Darwaaza(door), Bartan(utensils), Tubelight aadi sab ek din insaano ki tarah bol padein, to na jaane aur kis kis tarike ki jung dekhne ko mil sakti hai. Yeh kahani bhi ek aise hi jung ki hai jahan par bezubaano ko sataaya gaya, par baar baar madad maangne par bhi koi unki madad karne nahi aaya, tab kya tha... unhone khud hi morch