Posts

Showing posts from April, 2021

Jamnaji se Mudte hi

Image
  Jamnaji se Mudte hi   Anant gaur   Do number gate ke paas vale, foot-over bridge par khada Manjeet aasmaan ki ore dekh raha tha. Poornima ka poora khila hua chaand, Jiski dhoodhiya roshni chaaro'n taraf, har building, har dukaan par bikhri ja rahi thi. Kuchh der uppar dekhne ke baad usne neeche sadak ki ore dekha. Raat ke dedh baje the so koi ikka-dukka gaadi hi guzarti nazar mein aati aur dur kahin, kisi beghar sharaabi ke gaane ki aawaaz kaano mein. Vo palta to usne dekha ki ek kutta uske bag par peshaab kar raha hai. Kutte ko lataadte huye manjeet ko ehsaas hua ki vo ek number ka jhandu hai. Koi nahi aane vaala, aur galti se agar uske dost use dhundh bhi rahe ho, to bhi laxmi nagar ke is fizul pul par to koi nahi aane vala. Ajtak to koi nahi aaya. Kuchh der aur intezaar kar, phir Haar kar, manjeet ne apne dono bags uthaye aur waapas apne flat ki taraf badh gaya. Laxmi Nagar, school block.   Kachre ke dhero'n se bachte-bachaate, apne bags ghaseet'ta hua, manjeet fl